Badlaav mili nahi...A Poem by SuryaAaya tho tha is jagah pe, badle bahut is baar ek mein hi tha joh puraana naksha baaki sab naya rang puchu kyu ki badle tum, mujhe kya hoga teri badlaaav pe par lagta h kabhi ki puraana hi teek tha woh zamaana Khair aaj ye naya zamaana sikke baat raha h, mere log h kush inse par mujhe pyaar baatne mein mili thi hasi joh aaj mein koh gaya Kya kahu is tanhaayi soz ka joh mili beed mein kab aaye ye log dil pe apna ghar banane kab badle ye samajh apni roop, kab mein bhaitu Us chat pe jaha naani kahaani sunaati thi mujhe Koh gaya us din mein aur ye insaaniyat, ab bacha kya hai woh kapde, woh sikke, woh ghar... mujhe kushi nahi mili inse, begum gayi baad me dost bi kum hai, aur gum se dost hui hai Koshish kiya tha samjaane ka saatiyon ko par darr gaya mein kahi woh mujhe na badle mein teek hu is khoob tanhaayi mein par afsons is baat ki hai ki mein kuch nahi kar sakha Lekin dil kehta h mera jaan leneka unse joh apno ko badal diya Zara sochu mein bi badle koun, hai toh apna hi hai lekin dimaag kam joh mere bi badal gaya.. Ab mein kahu kya in logon se teek toh yehi hai ki bhaitu aur dekhu kaha chalega ye log apni naadaan sa mann chodke...
© 2017 SuryaReviews
|
Stats
288 Views
8 Reviews Added on July 4, 2017 Last Updated on July 4, 2017 Author
Related WritingPeople who liked this story also liked..
|