Na Mera Ghar, Na.......A Poem by SuryaOn Humanity..Na mera ghar, na mera tikaana, Na mein idar hu, na mein udar hu Na mein insaan hu, na mein mahaan hu Bus mein ek woh ghoont hu mera saatiyon ka pyaas bhujaane... Bus mein woh ek phal hu Joh unke bhuk mitaaye... Na mein Jee raha hu, na mein mara hu... Na mein in Janwaron ka dost hu Na mein in jadoh mein Jaan hu Bus mein woh ek hu joh inse roz khel lu Bus mein woh ek hu in goongo se gaana gaau.. Haan mein wohi bagwaan hu joh aap kahe Par mein woh bagwaan nahi joh sewa kar aaye... Haan mein wohi mahaan hu joh aapka madat karu Par mein woh nahi hu wapsi mein kuch aapse chahu... Haa mein wohi murat hu mandir me joh aapse baatein kare Par mein woh nahi hu joh aapse kuch maange... Mujhe dekna chahte ho? mujhse milna chahte ho aao dikhaunga mein koun hu... Zor se dekhe un gareebon se, haan me wahi hu unki bhook me Aap muje milne chahte ho? toh zara sa mitayiye unka bhook Chahe duniya paar hojaaye, aapko hum bhule nahi... Haan me wahi hu...woh chutki muskaan me dekn chahte ho mujhe, Toh zaraa pyaar batiye logon me Dikhunga mein unki kushi mein... Kya hai hai log, beparwaah beiimani khaayalon mein Ye nahi hai aap mein waadah karta hu... Aap agar aisi hi hai mein nahi jaanta hu aapko Mein toh jaanta hu unhe joh dusre mein apna dekhe.. Na mera ghar hai, na mera ek tikhaana hai Par mein hu sada, har jagah... Dekhna chahte ho, milna chahte ho Koshish toh karo, Pursat miljaaye aapko Agar aap kahe ke ye sab mera hai, sab apna hai Na mera ghar hai, na mera tikhaana hai Par mein hu har insaan mein, mein hu wohi dukhi mein Mein karta hu sada aapka sewa Na mein unka noor hu Na mein unka singaar hu Par mein wahi hu sada, Aaye dekhe zara mera jeewan, wadah karta hu Sukhoon mile aapko, Mein bi dekhu aur mein dikhu aapko... Na me idar hu na mein udar hu Na mera Ghar Na mera Tikhaana... Dekhe hum bhi aap kya kare...
© 2017 SuryaReviews
|
Stats
133 Views
4 Reviews Added on June 1, 2017 Last Updated on June 1, 2017 Author
|