Ankhon me sapne,dil me umang lie
asmaan chhune nikli hun
par bahar taktaki lagae baithe luteron se
mjhe dar lagta h
main kayar nhi hun
par vo bahut keemti hai
islie dar lagta hai
ek pal ke lie bhi koi
surakshit nhi hai
pita ko navjaat ke bachpan
aur bete ko maa ke budhape se bhi
dar lagta hai
kahan chhupoon ?? kya
chhupaun ??
vo jante hain main kya hun
anjaan soonsaan rastey to surakshit hain
in raston me jane kon mil jae
isse dar lagta hai
bal-hathiyar sab bekar
hai
haivanon ki ye prajati jhund me shikar karti h
din me bhi bahar bhejne se
maa yun hi to nhi darti hai
andhi parvat toofan bijli sab se lad lun
par ajkal mjhe insanon se dar lagta hai
kya karungi...kaise
karoongi
aise me bhi bhagwan yahan nhi ata
vyast h..nhi a sakta..par apne pas bhi nhi bulata
jism k marne ka intzar nhi hota
rooh k marne se pehle bula lena
mujhe marne se pehle marne se bahut dar lagta hai
vo is zinda lash ke
zinda hone ki duaen karegi
aur main us zinda lash ko akela chood lash ho jaungi
rosh se jalte,dard se pighalte,mere lie dhadakte
meri maa ke dil se dar lagta h