meri zindagi......A Poem by Siimran K JunejaZindagi ek nasha hai Zindagi ek maza hai Sach hai koi nahi janta kal kya ho gaye Koi nahi janta kal ho ya na ho Sach hai ki zindagi bahot chooti hai Bahot chooti hai es duniya ko janne ke leye Par hum hai es duniya ko acchi aur khoobsurat banane ke leye Log etne matured aur focused ho gate hai Ki life ki mast aur bachpan ko bhool hi gate hai Bhool gate hai ki yoh bhi bache the Toh apne ander sai bachpana kabhi mat choro Pagal ho gao, Nacho, gaoo Kabhi kabhi apni galti par hasna accha hota hai Kabhi kabhi dosro ko hasana accha hota hai Accha hota hai bed pe koodna Accha hota hai shararat karna Accha hota hai teddy ho hug karke soona Focused raho goal par But pagal mat ho gao us par Life hai toh ups and downs toh honge Sabko pyar do Yeh yoh cheez hai jeski sabko zarorat hai Kesi din apni mom ko hug karo Kesi din apne bhai ko pyar do Kesi din us maid ki care karo Akher unne bhi toh lage ki koi hai Jo unhe value karta hai..... Haso, smile karo, Koi uski payment nahi magta Kabhi ek stranger ko smile karke dekho Kabhi kesi aise insaan ko smile karo jo tumhe serve karta hai Kabhi kesi aise insaan ko smile karo jo tumhe chahta hai Sapne dekho Ab yehi hai jesme tax nahi lagta Kya gata hai sochne mai ki tum asmaan mai ho Kya gata hai sochne mai ki tum Queen Elizabeth ho Ander ki khoobsurati hi bahar ki hai Make-up karke koi faida nahi Jab aap ander sai khoobsurat ho toh makeup ki koi zaroorat nahi Yehi life hai meri Yehi khushi hai meri Jab mai subah sun ko dekhti hu Muhje energy melti hai Jab mai apni maid and family ko good morning karti hu Mujhe freshness melti hai Jab mujhe koi pyaar sai melta hai Muhe lagta hai ki koi meri care karta hai Ja mai kesi chote gareeb bache ko toffee deti hu and yoh mujhe smile karta hai Mujhe proud fell hota hai Jab mai pagalpantiya karti hu and sab mujh par haste hai Tab mujhe lagta hai yeh zindagi hai Gam and pressure bahot hai Par usme yeh sab karne sai khushi melti hai Pressure, studies and problems ko koi nahi badal sakta Par yeh sab karke kuch pal has sakta hai Aur dosro ko hasa sakta hai!!!!
© 2016 Siimran K Juneja |
StatsAuthorSiimran K Junejanew delhi, delhi, IndiaAbouta random writer who expresses her thoughts and feeling here. hope u be a part of it!!! more..Writing
|