Misl e YaarA Poem by Mirza Sharafat Hussain BeighBadey ajab misl-e-yaar ho tum Kis ne kaha merey dildaar ho tum Merey kizaan me to bahaar ho tum Meri ghazal ke sab ashaar ho tum Behtar hai tera yun bey.hijaab rehna Is niqaab me to aashkaar ho tum Terey dar pa aansuvu ki baarsih Phir kyu aab ke talabgaar ho tum Chaand ke manind dagdaar ho tum Suraj ke aagey shab-e-taar ho tum Sharafat zara uska haal to poocho Ab Itney bhi kya sharamdaar ho tum © 2018 Mirza Sharafat Hussain Beigh |
StatsAuthorMirza Sharafat Hussain BeighKashmir, Srinagar, IndiaAboutMirza Sharafat Hussain Beigh is fourth generation poet born into a traditional elegy writer's family dating back their history of composing elegiac poetry to 1900 CE. Born in Daulat Abad, Srinagar, Mi.. more..Writing
|