Poem : Udasi 2A Poem by Mirza Sharafat Hussain BeighUdasi 2 poem is second part of Udasi Poem Series.It is free metre poem consisting seven couplets having rhyme scheme aa,ba,ca,da
bina waja ke yaar hum qusoorvaar hogaye
bey khata nachaar bhas bey.qaraar hogaye ye jaanney me hai faqat bas matam e ishq dekhtey dekhtey unki zulfu ke sogwaar hogaye hamarey aansu to girtey hai ye dikhtey nahi sada unhi me ghum kahi mere dildaar hogaye ye saal e rafta ulfat ke guzrey hi kaisey rafta rafta is khail ke hum adakaar hogaye ye batla dijiye ke tarasney ki intiha kya hai tadap tadap kar dil hamarey koh saar hogaye tujhe likhu kaisey ke bhula dena ab mujhe tehreer se pehley hi mere qalam ashkbaar hogaye chupaana terey rukh se koyi raaz mumkin nahi tujhe dekhtey bey parda mere asraar hogaye © 2016 Mirza Sharafat Hussain Beigh |
Stats
345 Views
Added on January 4, 2016 Last Updated on January 4, 2016 Tags: loneliness, nostalgia, memories AuthorMirza Sharafat Hussain BeighKashmir, Srinagar, IndiaAboutMirza Sharafat Hussain Beigh is fourth generation poet born into a traditional elegy writer's family dating back their history of composing elegiac poetry to 1900 CE. Born in Daulat Abad, Srinagar, Mi.. more..Writing
|