Cluster of thoughts

Cluster of thoughts

A Screenplay by Sabah
"

Simply thoughtful

"
Life mein hum bohot sari cheezo k bare mein sochte hain,
Sapne dekhte hai kuch alag krne k,
Kuch aisi cheeze karne k jo ki hote hue bhi ho nai skti,
Kuch aisi cheeze jo na hote hue b hone ki chah deti,
Kuch aisi jisse hume khushi milti hai,
Kuch aisi jisse sukoon milta h,
Hamari soch par kisika rok tok nahi hota shayad isiliye hamari soch me hume jo khushi milti h shayad hi kahi milti hogi.
Par life me hum karte vahi hai jisme dusro ki khushi ho,jisse dusro ki nazro me hum upar ho,
Jisse koi hume judge na kare,
Jisse koi hamare vajahse dukhi na ho,
Hum chunte vahi hai krna jo sab krte h,
Ya yu nahi humse vahi chunvaya jata hai kyuki sapno ke balboote par kisika pet nai bharta nahi ghar chalta h!
Bachpan se hi hume vahi sikhaya jata h ke vahi sahi hai, voi kaam society mein hamara rutba banaye rakhega,aur hum nahi maante bhi aye hain.
Par fir kyu hum sapne dekhte hai?
Kyu hume sapne haqikat se zyaada pyare hote h?
Kyu hum apne aap ko sochne se rok nai paate?
Kyu jo sukoon sapno ko sochke milta h vo hamare kaamo me hum mehsoos nai krpate?
Bachapn se hi hume sikhaya jata hai kya sahi kya galat jis vajahse hum apne mann ko samjha lete hai,
Par dimaag ka kya?
Vo to vahi sochta h aur hame majoor karta h sochne par jo vo chahta h hum soche,
Kyu bandhe rehte hai hum logo ke soch k darr se?
Unki baato ke darr se,unke judegments k darr se?
Hamare baithne uthne k tarike se lekar hamsre kapdo tak hame judge kiya jata h hame ek "tag" de diya jata h.
Us darr se hum ye puch b nai sakte ke aakhir kyu?
Hum jaisa mehsoos lete hai hum kisi se keh nai paate kyuki hum darte hai ki kahi koi kuch galat na samjh baithe!
Aur agar koi kare to use pagal smjha jata h
Ya to use madat krne k bajaye uski baati hui baat ko sare aam sabke samne chillar mat bataya jata hai.
Par aakhir kyu?
Kyu bharosa sirf ek shabd banke rehgaya hai aaj ki is duniya me?
Aur kyu azadi lene me aur dene me hum hichkichate hai.
Zindagi ek hi mili hai hume usme mauke chunke hi milte hai,
Un mauko ko sahi tarah chuno kyuki ek hi zindagi hai uska sahi istemaal karo,
Apni life ko apne dum par jeeyo na ki kisi aur ki.
Zindagi apni dharti par jeeyo taaki kabi koi malal na rahe dil me,
Galtiya karo badi se badi karo par sath hi sath uske natijo se nipatne ka hausla bhi rakho, aur seekh tabhi hi milti hai jab tak thokar nai padti.
Thokar khaoge tabi to seekh paoge.
Aur un thokaro se seekh leke aage badho naki haar manke baith jao.
Zindagi mauke kam deti hai mere dosto,
Bas uhse sahi tarah tumhe chunna hai.

© 2017 Sabah


My Review

Would you like to review this Screenplay?
Login | Register




Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

206 Views
Added on April 22, 2017
Last Updated on April 22, 2017

Author

Sabah
Sabah

Nashik, India



Writing
Power! Power!

A Screenplay by Sabah


Shady Thoughts Shady Thoughts

A Poem by Sabah


Betrayal Betrayal

A Poem by Sabah