Meri JaanA Poem by Ritika
zindagi ke safar me chahat ki dagar me,
ajnabi mila tha ek pehchana sa lekin phr bhi anjana sa na socha tha kabhi ki wo ajnabi kabhi khaas ban jayega, khaas bhi itna ki jaan hi ban jayega lakhon me ek ni wo to hai mere dil ka tukda, zindagi tham jati hai uske door hone ke khayal se hi par jeena bhi to usi ne sikhaya hai, to kese thamne du uski is dein ko jo mujse door hone ke bavjood bhi, meri zindagi ka noor hai kash ye pal yahi tham jata, ya wo pehchana sa ajneebi yahi reh jata
© 2016 Ritika |
Stats
45 Views
1 Review Added on May 6, 2016 Last Updated on May 6, 2016 |