UdaanA Poem by Riti RajputAe zindagi jaha lagta tha bichad janege, mulakat hui tjhse wahi pe.. khud se door hote hote, mil gaye hum humi se.. Aaj aasmaan kuch zada neela hai, dharti kuch zada rangeen hai... nazaare to pehle jaise hi hai yaha, par fir bhi lag rhe kch zada haseen hai.. hume to ibadat ka matlab b tune hi btaya hai, jeene ka asli mtlb, tune hi to sikhlaya hai... udne ko pankh beshak na mile ho mujhe, meri udaan ko rokna ab mumkin nahi.. jaha milenga khushiyo aur umeedo ka sath, is safar ki ab manzil hai wahi.. Pehle, manzil ki talaash me khone ka darr tha hume, Ab usi manzil ki talaash me khwahisho k pankh na thame... Udna hai badi door abhi to, raasta thora lamba hai... par honslo ki is udaan me, uljhano k liye ye dil ab andha hai... Is safar ki shuruaat me, dagmaga na jae hum fir se... sath dena isi tarah, guzarish yahi hai tumse... Ab to yahi dua hai bas, us mukaam se ho hum roobarooo... har manzil ko paane k baad, nayi manzil ka safar ho shuroo...
© 2016 Riti RajputReviews
|
Stats
178 Views
1 Review Added on April 27, 2016 Last Updated on April 27, 2016 AuthorRiti RajputIndiaAboutI am actually not a writer and never wrote anything... But here I just want to write my heart out... more..Writing
|