"Mai khuda ko jakr sb btaoga"A Story by Rehan writesin solidarity with the victims of Lahore attack 27th march 2016..may Allah bless them with the highest darjaah of jannah..
Abi uski umer h kia thi.khoon k lothron mai banti hui lashon k gird wo dard se kiraah raha tha.uski masoom ankhain dehshat se zard per chuki thn.kch lamhon phle tak jin hawaon mai masoom bacchon ki chechehaht thi wo ab barood ki gandi buu aur siskyon mai tabdeel hochki thi.chand lamho mai manzar bht badla chuka tha.ksi jannat k thekay daar ne masoom logon ki jannat ko jahannum mai tabdeel krdia tha.4 saal ka nanha farishta Arhaan jisne abi duniya se theek se rishta jora b na tha lashon k dher mai apne katay phatay hath paon talaash rha tha.kbi khud ko talash krta aur kbi uski bojhal si ankhain bheer mai apne maa baap aur bicchar jane wale behn bhayon ko talash krti.zameen pe bikhre hue joootay khilonay kapray in sb mai aik ajeeb si heybat thi har taraf cheekh o pukaar siskyan har taraf hoo ka alam phel chuka tha.dard se kirhata hua Arhaan zameen pe leta ab ksi maseeha ka muntazir tha.apne baap ki shafqat bhari awaz ka jo usay yaha lekr aya tha.us maa ka muntazir tha jiski goud mai wo khud ko sbse ziada mehfooz samjhta tha.apni dabti awaaz mai wo chilla raha tha dard ki shiddat ne uske ronay ki awaaz ko dabaa dia tha.wo khud ko samitne ki koshish ker raha tha tootay photay jism k sath.uski ankhain band hone lagi thn shayad wo bht jald har kism k dard har takleef se chutkara panay wala tha..uski siskyan aag ki bujhi hui lou mai tabdeel hne lagi thn.uske chehray ka rang peela per chuka tha ab takleef ki shiddat bht kam hochuki thi uske masoom se chehray pe muskurahat phel chuki thi wo mitti se bana mitti mai milrha tha.mout ka soor phonk dia gya uska chehra zard per gya shayad kch sansain rehgyi thn kch dard barh sa gya tha wo zameen pe leta sisak raha tha kiraaah raha tha wo keh raha tha "mai khuda ko jakr sub btaoga" "mai khuda ko jakr sub btaoga" "mai khuda ko jakr sub kch btaoga"... to dil thaam k muntazir rhyega aik aur toofan e nooh k jisne shayad dunia dubayi thi per insaniat se mehroom dunia ab us se ziada ki mustahiq hochki h uski karaahat zameen ka seena chaak ker asman cheer kar arsh tak pohnch chuki hai..wo khuda ko btaega phr shayad zameen pe khudayi baaki na rhe..
"Aye khuda teri jannat ki lalach mai teri zameen jahannum ban chuki hai © 2016 Rehan writesAuthor's Note
|
Stats
126 Views
1 Review Added on March 28, 2016 Last Updated on March 28, 2016 |