KitaabA Poem by PriyanshiKITAAB kitaab jaise koi kitaab hai ye zindagi, ek kahani hai ye, kuch rango se buni hui. pyaar se takraaye jo gum bhi khub mile, dard ki sharyi fir hum kuch kagazo mein bunne lage. beete panne lage barbaad, ruthne jo lage hum guzre hue kal se, dard se ruh ko jo zakarte, fir ashqo se bhi na bichar paate. har karm, dilo-dimaag ke ghar mein basaa jaati ye zindagi baaki aane waale panno ke kuch khaabar hume na rehti. jo beetey hue paane haseen se tasvir dil mein utarte toh aane waale kal ki taasvir dhundhli si dikha jaate. fir kisi sharab ki tarah, is kadar dil pr raaz krte, jo aane waale kal ka khauf bhi hume bhula dete. ab dil karta hai kitaab ke baaki panno ko bhi dil mein uthar lu, waqt se pehle, sab raaz khol du, apne liye, pr mazboori meri,meri ashqo mein behti kyunki wo kitaab meri zindagi ki mere haatho jo na dikhti. © 2017 Priyanshi |
Stats
148 Views
1 Review Added on November 22, 2017 Last Updated on November 22, 2017 AuthorPriyanshiIndiaAboutAm a girl who desires to travel a journey from the dream world to the real world, Livin' the beautiful dreams on the land of reality. MY LINES----- "Never did sacrifice a jewel of min.. more..Writing
|