Intezaar...A Poem by PriyanshiUjley hue suraj ki tarah tha mera man, Jab dekha nile gagan pr us chand ko. Chamakta hua wo ek tara, Fela raha tha roshni ,is dukhiyare ki zindigi mein. kaha meine ik din us chand se ki, e- chand dekhna chahu tujhe bade karib se, Kabhi aa is pariyo ki nadi mein, Mehsoosh kar mere har ik zakham ko, or apni is roshni se mita har daago ko. Kabhi mauka de mujhe, teri in karibi Taaro me se, ek taara banne ka. Jo ab khwab hai mera. Pr aisa wo na kr saka.. Chod chala wo is baanjarey ko, in logo ke ghaney jungle mein. Dikha nhi mujhe wo phir in gehrey kaaley baadloy mein, Na uski chamak ko meri aakhey sek paayi. Reh gaye mere kuredey hue zakam is jism pe, kisi ke malham ko taras gaye. Or baha gaya aasu ki nadiyo ko meri in aakho se. Ab har pal intizaar hai is beeganey ko , Us chamaktey hue chand ke lautne ka. © 2017 PriyanshiReviews
|
Stats
220 Views
4 Reviews Added on September 14, 2017 Last Updated on September 14, 2017 AuthorPriyanshiIndiaAboutAm a girl who desires to travel a journey from the dream world to the real world, Livin' the beautiful dreams on the land of reality. MY LINES----- "Never did sacrifice a jewel of min.. more..Writing
|