Sannate ka shorA Poem by PravirAj fir se wahi rat aai hai. Fir se
wahi dar wapas aa rha hai. Kaisa
Dar?? Is raat k
andhere se ya apne bheetar ke andhere se malum nai. Jaise hi
rat gehri hone lagti hai, ek ajib sa gandh pure kamre me fail jati hai …. Ye ghadi
dekh rahe ho na, iske kante ki har ek tik-tik se Us ki yadon ka jeher fail jata
hai. Har rat
wahi badboo, dam ghutta hai. To
kamre se bahr nikal jao, bhag jaooo Kaha kaha bhagoo, ye pichha hi ni chhorti . Lagta hai ye gandh mere hi andar se
nikal rahi hai.. Dimag me ek koodon ka dher bhara hai, wahin kisi kone k pas pare ek bore me kass k bandhi hui kuchh lamhon ki yadein pari hai… Sari badbu wahi se aa rahi hai… To apna dimag saaf q ni kar lete. Tumara hi failaya hua gandh hai, tumhe hi saaf
karna hoga. Uthao
apne us bojh ko jor laga kar, apni sari taaqat samet kar aur use kahin door
phenk aao. Bhut himmat karke us bore tak pahucha, jane kya dikha, Sayad koi purana khwab tha jo humne milke kabhi dekha tha. Par wo betartib dhang se ghayal pari thi, har jagah bas usi ghadhi ke kaante ke Nishan the. Waqt ne Noch kharoch k un khwabon ko itna khaufnaak bna diya gaya tha ki munh fer lena pare. Ankhon me ajib se jalan hone lagi, aur najar dhundhli se lagne lgi. Ek boond ‘taap’ se ankhon se meri hatheli pe gira. Kya ye ansu they. Par mujhe to rona ni aata. Lagta hai aj sikh hi liya. Fir apni
sari taqat lagakar us bore ko uthaya aur jitni dur ho sake fenk diya.. Aaj
sayad main khuli hawa mein saans le paunga. Aj bhi
ghari usi tarah ‘tik-tik’ kar rahi thi. Par aj kuchh halka sa lag rha tha. Jaise
koi bojh utar gaya ho. Par ab
charo aur bas sannata pasra hua tha. Mujhe to
yahi chaiye tha. To
fir ab iss sannate se dar q lag rha hai?? Agar
dimag ka bojh utar gya hai to dil q bhari hai tumara?? Samajh
ni aa rha , is bat ka khusi manau ki aj main apni un yadon se dur chala aya ya
is bat ka ghum ki is chhakar me khud ko bhi wahin chhor aya. Main
wo q ni jo pehle tha.>?? Qk insan
bina yadon ke zinda laash ban jata hai. Har
insaan apne kandhon pe apna hi laash liye chal raha hai, bas dho rha hai. Par nahi
main khud ko laash nahi banne dunga. Main us
insan ko wapas lekar aunga jo un yadon ke sath hi chala gaya tha. Use
wapas launga, pani k chhite marunga, hosh me
launga, apne samne bithaunga aur bat karunga. To
kya bat karoge apne beetey hue kal se..??? “Yahi ki tum kahan ja rahe ho??, kiske pichhe bhag rahe ho…. Ek pal k liye ruko aur apne aas pas dekho. Tum jis yadoon k gathri k sath ja rahe houske alawa bhi
bhut bari duniya hai. Jise tum sath leke chal rahe ho usme bas tumhari buri yadeein bhari pari hai. Lekin apne aas pass dekho. Bhut si achhi yadein v dikhengi. Patjhaad ka Mausam dekhe ho na, niche kitne sare phool patte gire rahte hain unpe kisi ka dhyan nai jata . Tumhari achhi yadein usi ki tarah bikhri pari hain. Ek ek
karke chuno aur use apne bakse me band karo aur laut aao.” Bhut
kosis ki , bhut ratein beeti, par aj jab main wapas aya to us bakse se gandh ni
aa rhi thi… Khusboo thi humari un yadon ki jo humesa se thi par humne kabhi
dhyan ni diya … Rat to
aj bhi Andheri hi hai… Ghar ki sui fir se usi tarah ‘til-tik’ kar rahi hai par aj dar nahi hai. Pure kamre me fir se taaji hawa thi . Ab khul k saans le paa rha hun. Jab bhi dar lagta hain ya
andhere ka sannatta shor karne lagta hai, bas ankhein band kar usi bakshe ko
kholta hun aur sab thik ho jata hai…. Sab thik
ho jata hai…. Ghadi ki
us ‘tik-tik’ pe bharosa rakho.. Wo sab
theek kar degi. © 2020 PravirAuthor's Note
Reviews
|
Stats
88 Views
2 Reviews Added on January 23, 2020 Last Updated on January 23, 2020 AuthorPravirasansol, west bengal, IndiaAbouti am 22. .,. an electrical engineer.. i know writing has nothing to do with my profession... but still i write,not to become famous ... its just that i find solace in expressing my untold emotions an.. more..Writing
|