MaaA Poem by Poorvi Kapoorpain of loosing a mother cannot be described in words.Tu mere wajood mein hai aisi basi, Ki mujhe har saans mein hai sunai deti, Tu mujhe, mujhhe me mehsoos hoti, Teri chudiyo ki khanak, Jitni baar hai sunai deti, Mere din ke aagaaz mein tu hai, Meri adhuri neendo ke sapno mein tu hai, Guzarte waqt k har pal me tu hai, Dil me uthte har dard me tu hai, Har kushi meri ab adhuri see lagti hai, Khuli aankhon mein bhi, Roshni ki kami se lagti hai, Tere jaane ke baad, Ab thakaan bahaut hoti hai, Tune haath jo choda to samaj aaya, Ke zindagi mushkil bhi hoti hai, Maa, Tere jaane ka gam hai aisa, Jo aansoon sukhne nahi deta, Tasveer mein tera muskurata chehra, Mujhe rone ki ijaazat bhi nahi deta. © 2016 Poorvi Kapoor |
Stats
69 Views
2 Reviews Added on April 7, 2016 Last Updated on April 7, 2016 AuthorPoorvi KapoorDelhi, North, IndiaAboutPoorvi Kapoor, Human Resource Manager by Profession and a poet by soul. more.. |