Mujhe yaad na ker naA Poem by Mustafa MerchantUnrememberMujhe yaad na kerna Karo toh koi fariyaad na kerna. Zehmat e yaad hai teri Jho baaraha chali aati hai. Simti hui zaat ko meri, Phir se Bikher ker chali jaati hai. Kuch tinke, hawaaon se mil ker Ger tumhe chu jaaye. Toh Mujhe yaad na kerna. Karo toh koi fariyaad na kerna. Zehmat e yaad hai teri , Jho apna rasta bhool jaati hai. Meri palkhon ki aad me , Apni raat tamaam ker jaati hai. Ashkon se bhari bheegi hawa, Banker Agar Meri Khushbu aaye, Toh Mujhe yaad na kerna. Karo toh koi fariyaad na kerna. Zehmat e yaad hai teri. Jho mere seene se lipat jaati hai. Apni bahon se kus ti hui, Mere dil ko nichor jaati hai. Ab bus apni yaadon se kahon Ke ab Aur zehmat na kerna . Agar Mein Kuch ker jaao Toh koi fariyaad na kerna. © 2019 Mustafa Merchant |
Stats
21 Views
1 Review Added on October 8, 2019 Last Updated on October 8, 2019 Author
|