Ab mai tumhai bhul chuka hou

Ab mai tumhai bhul chuka hou

A Poem by Mujtuba hussain
"

Just tried to express my feelings...

"
Ki tumhai mujhai chodai houai kuch aik saal, 3 mehanai aur 16 din ho chukai hai,
Is smay hum kisi aur ladki k baho mai madhosh ho chukai hai,
Yai galat nae hai ki tumhari yaad aati nae hai,
Haa laiken subho shaam aati nae hai,
Ab merai paas qalam hai, qagaz hai aur tmhari yaad mai shayri hai,
Dil mai is buj chuki aag ko jalana mat,
Ab mai tumhai bhul chuka hou, meri zindagi mai wapas aana mat,
Haa wo waqth zaroor yaad aata hai jab hum sath they,
Khushiyo sai bharai hum dono k hath they,
Wo methey merai, wo khatey terai kya jazbaat they,
Par ab hawao mai vo baat nae hai,
Merai hatho mai tera vo hath nae hai,
Par isko meri kamzori smj k mujsai taluk badana mat,
Jo kamal kabi dikhaya tha ab fir sai dikhana mat,
Merai dil ko fir sai zooro sai dhadkana mat,
Ab mai tumhai bhul chuka hou,
Ab laut kai wapas aana mat..
Ki ab tu kisi aur sai dil laga bethi hai,
Kisi aur kai liyai wohi armaan saja bethi hai,
Mai janta nae wo tujpai apni jaan vaarta hai ya nahi,
Tujhai jeeta dekh apni zindagi sai haar ta hai ya nahi,
Ab raqeeb sai apnai dil ki batein chupana mat,
Jasai rulaya tha mujhai un sarad rato mai,
Kisi aur ko rulana mat,
Jasai kabi mujhai tadpaya tha tumnai,
Kisi aur ko tadpana mat,
Ab mai tumhai bhula chuka hou,
Ab laut kai wapas aana mat..
Mujsai bichadnai kai baad tunai b kae logo sai wadein kiyai hai,
Unkai sath jeenai marney kai iradai kiyai hai,
Par shayad wo mera ishq tujhai yaad na ho,
Merai jasa koie ab tera dildaar na ho,
Terai bewafa hojanai par koie jaan dainai ko tayaar na ho,
Isi liyai kehta hou,
Jis qadar mujhai kbi barbaad kardala tha,
You kisi aur ko barbaad karjana mat,
Ab mai tumhai bhul chuka hou,
Meri zindagi mai ab wapas aana mat..
Par fir miljao kabi kisi konai mai,
To sonch kar hamara ishq na lag jana ronai mai,
Kyu ki shayad galati tumhari thi humarai juda honai mai,
Apani aap ko sahi sabit kar nai k liyai galatiyo ko samjana mat,
Merai anko mai ab ankhai dalo gi,
To in ankho ko churana mat,
Jasai galai lagaya karti thi mujhai pehlai,
Wasai galai lagana mat,
Is sakth ban chukai laundai ko phir sai piglana mat,
Sehlana mat,
Ab mai tumhai bhul chuka hou,
Ab wapas aana mat...
Yaad hai wo jo haal sunaya karti thi jummu mai,
Kch nae karsakhta tha lag jata tha ronai mai,
Laga waqth nai liyai tujhai apnai burai sayai mai,
Khud sai kaha sab theek hoga, jab kch theek na tha aur laga tha khud ko samjanai mai,
Wo ansao mai behti kashti thi,
Zakhm pai zakhm kha kai jeeta tha,
Aur tum hasti thi,
Kch alag hi dasta tum baya karti thi,
Ankho mai terai ansu aur chehrai pai badi si muskaan thi,
Pata to iska humko phali din sai hi tha,
Par tujhai sedhy mou pai bolu ho nae sakha mujsai,
Kyu ki shayad khud sai bhi zayda tumpai atibaar tha,
Jo kch saha mainai dua karta hou koie aur na sahai,
Jis andharai mai rha mai,
Na us mai koie aur rahai,
Merai dil ko khilona samaj kai jo khela wo fir sai khelna mat,
Ab mai tumhai bhula chuka hou,
Ab laut kai kabi wapas ana mat,..

© 2018 Mujtuba hussain


Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

144 Views
Added on August 30, 2018
Last Updated on August 30, 2018

Author

Mujtuba hussain
Mujtuba hussain

Khanabal, Anantnag, India



About
Believe more..

Writing