Iss Pal Ka ParamatmaA Poem by Mihir VyasIn this poem, poet wants to make their people realise how they are confused for Their problems but in actual the solution relies within them. They just need clear perspective for the same. Iss Pal Ka Paramatma
Nahi koi kahani na koi hai yeh kissa, Magar sabhi ke jeevan ka raha hai yeh hissa. Ek khil-khilaata bachpan jaise gaav mein, Ek sitheel musaafir jaise thehraav mein, Ek gumnaam rishta jaise paripakvata ke chaav mein; Ek jalta diya jaise sarita ke bahaav mein, Ek najook si dor jaise bhaari tanaav mein, Ek ghayal machhvaara jaise tooti naav mein; Ek sthik jahaaj jaise majhdhaar mein, Ek begunaah jaise kaaragaar mein, Ek awaara jaise pehle pyaar mein, Ek veshya jaise rangeen bazaar mein; Ek shakuni jaise gandhaar mein, Ek shoorveer jaise raj-darbaar mein, Ek sundar gulaab jaise guldaan mein, Ek gehra kataksh jaise bakhaan mein; Ek yogi jaise betha dhyaan mein, Ek basera jaise bhaari toofan mein, Ek teer jaise kamaan mein, Ek shivir jaise chadhaan mein; Ek lubhaata mrugjal jaise tapte registaan mein, Ek ant ka anubhav jaise samsaan mein; Bade anokhe hai yeh saare pal, Jo bunte gaye hai apke aaj aur kal, Gehrai se samjo to issi mein hai sabhi ke hal; Ekbaar dekho duniya ko iss drishtikon se, Pehchano apne vyaktitva ko iss moun se, Aur Firr Batlao Iss Pal Ka Paramatma kon hai? Aur Firr Batlao Iss Pal Ka Paramatma kon hai? © 2023 Mihir VyasAuthor's Note
|
Stats
1219 Views
Added on February 26, 2023 Last Updated on February 26, 2023 Tags: #india, #poems, #gujaratiliterature, #premchand, #art #mihir #hindi #poetry #love AuthorMihir VyasMumbai, Maharashtra, IndiaAboutHello, I'm small_poet❣️ - a devoted poet and skilled coder. I weave tales with words and websites with code. Exploring the realms of creativity, I bring a unique blend of verse and progr.. more..Writing
|