Ek Anjaan RishtaA Poem by Mihir VyasThis poem describes how one complete stranger got so close to the poet which resulted into a beautiful bonding between them. Ek Anjaan Rishta Zindagi Toh Yuhi Katt Rahi Thi, Unhone Aake Humein Jeena Sikhaya; Wese Toh Ajnabee The Woh Saksh, Firr Bhi Unki Baaton Ne Apnapan Dikhaya. Kuch Naye Sawaal Khile, Kuch Puraano Ke Javab Mile; Kuch Par Sujaav Hue, Kuch Par Tanaav Hue; Kuch Apno Ki Baatein Huyi, Kuch Gairon Ki Shikayatein Huyi; In Sab Mein Mujhe Ek Naya Baseerat, Ek Naya Sandarsh
Nazar Aaya. Wese Hum Dono Ko Zyada Sochne Ki Bimaari Thi, Aur Shayad Issi Se Badh Rahi Hamari Yaari Thi. Kabhi Phone Par Ghanton Tak Baatein Karte, Toh Kabhi Moun Rehkar Ek Duje Ki Baat Samaj Jaate; Kehne Ko Toh Hamare Beech Kaafi Dooriyaan Thi, Magar Dilon Ki Nazdeekiyaan Bhi Khasi Gehri Thi. Aisa Nahi Ki Hamare Beech Sab Kuch Ek Jaisa Tha, Use Barsaat Pasand Thi Toh Mujhe Sard, Use Khushi Pasand Thi Toh Mujhe Dard; Use Logon Ki Dhoop Pasand Thi Toh Mujhe Tanhai Ki Chaav, Use Vastavikta Se Ghrrina Thi Toh Mujhe Behad Hi Lagaav; Use Baatein Karna Pasand Tha Toh Mujhe Chup Rehkar
Sunana, Use Zindagi Ko Khul Kar Jeena Pasand Tha Toh Mujhe Har
Pal Sambhalkar Bitaana. Mein Hamesha Khud Mein Ranjheeshein Rakhta, Aur Woh Hamesha Use Nakaarti, Mein Hamesha Puraani Yaadon Mein Rehta, Aur Woh Hamesha Nayi Yaadein Banaati; Jab Kabhi Mein Kisi Duvidha Mein Padta, Woh Kaese Na Kaese Kar Mujhe Sawaarti. Behad Khaas Tha Par Anbhigna Tha, Ya Shayad Kahein Benaam Tha, Yeh Rishta Hamara; Kuch Aisa Tha Anjaan Rishta Hamara, Do Premi Ka Nahi, Par Ek Gehri Dosti Ka. Kuch Aisa Tha Anjaan Rishta Hamara, Do Agyaat Se, Ek Yaarana Ka. © 2022 Mihir VyasAuthor's Note
|
Advertise Here
Want to advertise here? Get started for as little as $5 Stats
1741 Views
2 Reviews Added on July 24, 2022 Last Updated on August 1, 2022 Tags: #india, #poems, #gujaratiliterature, #premchand, #art #mihir #hindi #poetry #love AuthorMihir VyasMumbai, Maharashtra, IndiaAboutHello, I'm small_poet❣️ - a devoted poet and skilled coder. I weave tales with words and websites with code. Exploring the realms of creativity, I bring a unique blend of verse and progr.. more..Writing
|