Kya tum usko samjhte ho?

Kya tum usko samjhte ho?

A Story by Madhuri Abhay jain
"

This is relating to a story of every wife especially house wife compromising her life in the Indian society and in return asking her husband do you understand life of a wife and tries to awaken him.

"
Kya tum usko samjhte ho ?

Biwi woh hai jo aapna sab Kuch chodkar tumahare saath rehne ati hai ,
Par Kya tum uske parwari walon ki aimiyat samjhte ho?

Biwi woh hai jo tumhare pariwar ko apna banene mein puri zindagi bita deti hai,
Par Kya tum uski mushkilon ko samjhte ho?

Biwi woh hai jo apni kushi se phele tumhari ya tumhare pariwar ki kushi phele chunti hai ,
Par Kya tum uski kushi samjhte ho?

Biwi woh hai jo tumhare bina matlab ke gusse ko samjhti hai,tumhari pasand na pasand ko samjthi hai ,
Par Kya tum uski Pasand ya na pasand ko samjhte ho?

Biwi woh hai jo Subhe tumhare office Jane ke bad sham thak sirf tumahre aane ka intazar karti hai , par tum kabhi use muh pher kar , bina Kuch bath puche ya kiye bager soo jate ho , ya der raath thak tum apne doston ke sath waqt bitate ho , phir Bhi woh tumhare lutne tak jagi hui rehti hai, tumse shikayat aur ladkar Bhi woh tumhe he samjhti hai ,
Par Kya tum uske akle pan ko samjhte ho?

Biwi woh hai jo din bar pariwar ke sath sath apne bachoon ko Bhi sambhalti hai , khud itna thaki hue rehkar Bhi tumhari har zaroot ko phele pura karti hai ,
Par Kya tum uski zarrathon ko samjhte ho?

Biwi woh hai jo apne doston ko Bhulkar tumhare doston ko apna bana deti hai ,
Par Kya tum uski khamoshi ko samjhte hai ho ?

Duniya mein itni sari biwi hai jo apne pati ke najais Rishton ko jaankar Bhi unka saath nahi chodthi,
Par Kya tum uske pyar ko samjhte ho ?


Woh tumhari biwi hai ,tumse pyar karti hai isliye woh ye Sab karti hai par Kya tum uske pati hone ka har farz samjhte ho? Uske hone ke bawajood Bhi Kya tum uske ho ?

Puri zindagi woh aise he jeekar mar jati hai aur tum use puchte ho tumne kiya he Kya hai ? Arey phele tum apne aap se puchon tumne kiya he Kya hai uske liye ?

Jab usko tumhari sabse zyda zarrot thi Kya tum uske sath the ?
Jab usko tumse bathen karni thi , Kya tum uske saath the ?

Doston ke sath , ye khud ki zindagi, ayashi Sab Ek waqt thak acha rehta hai , kabhi tum apne biwi ke sath waqt bithakar Dekho , kabhi usko samjhne ki koshish karo , kabhi tum Uska khayal aur uske maan saman ki raksha karo , phir tum khud he samjh Jaoge biwi hona asan kaam nahi hai aur tum Ek Naye sathi, naye dost ko paoge jo umar bar tumhara saath kabhi nahi chodegi aur tum kabhi Kisi aur ke piche nahi jaaoge.


Zindagi Bhauth choti hai , jitni Bhi hai apni biwi aur pariwar ke sath raho , Ek din woh Jane ke bad uski kimat samjhkar Kya fyada? Ise acha jab thak ho uski izzat karo , Uska saath do ,pyar karo , uski ahemiyath ko samjho aur humesha Khush raho !!!

© 2017 Madhuri Abhay jain


Author's Note

Madhuri Abhay jain
The words are Hindi words but written in English .I am just trying to awaken the husbands and support their wife on daily basis. No personal offence and if any grammatical mistake please ignore.

My Review

Would you like to review this Story?
Login | Register




Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

149 Views
Added on December 8, 2017
Last Updated on December 8, 2017

Author

Madhuri Abhay jain
Madhuri Abhay jain

Chennai , Tamil Nadu , India



About
I love exploring new things in life . I always wanted to write and so I am here to develop myself. more..