Maa...Meri koi galti nahi thiA Poem by Palak_shah_A poem which is directly related to the current situation of girls. Written by me
Main toh yunhi Roz ki tarah school ki or jaa rahi thi,
Na jaane kyu us din woh chauraahe par khade uncle ki Nazar mujhpar tiki thi😷 Na jaane kyu maa unki Nazar mujhe pareshaan kar rahi thi.... Maa..Meri koi galti nahi thi!! Main toh yunhi Roz ki tarah office se ghar aa rahi thi, Na jaane kyu bus mein piche baithe uss admi ki hateli mujhe Baar Baar Choo Rahi thi😕 Naa jaane kyu maa dekh kar bhi sabhi ki Nazar woh sab undekha kar rahi thi... Maa..Meri koi galti nahi thi!! Kyun raat ke waqt main bahaar nahi Nikal Sakti Aur Bhaiya saari raat bhi Baha reh sakte hai Kyu bhai Ko apni Bike mil jaati hai,, Aur mujhe Abhi bhi papa chodne aate hai Aisa kyu maa' Meri koi galti nahi thi. Kyun ham ladkiyon Ko janm lene se pehle maar diya jaata hai😢 Kyun ham ladkiyon Ko pehele hi kamzor zaahir kar diya jaata hai. Aisa kyun kehte hai ki 'Beti Bachao,Beti Padhao' Aisa kyun nahi kehte ki 'Beti Ko Aurat ki izzat karna sikhao'.. Maa..... Kya sachme hamari koi galti thi? © 2018 Palak_shah_Author's Note
Reviews
|
Stats
159 Views
3 Reviews Added on June 27, 2018 Last Updated on June 27, 2018 AuthorPalak_shah_Mumbai, Virar, IndiaAboutA Dreamer 😗 A girl with deep thoughts ☺ Name:Palak Shah Studies in 10 std more.. |