Khel khuda k

Khel khuda k

A Poem by Pleasure_Believe in yourself

Ye jo Zindegi he wo jiya nhi,
jo jirhi hu wo zindegi nhi,
sikhaye jin raho pe chalna,
waha Manzil nhi.
jaha Manzil he, waha aapke nek Rah nhi.
Milaye jisse aap, kaha wo apna nhi.
jo aapna nhi,
buna in ankho me nek Sapne kai.
Kahi zindegi he, toh Kahi jine ki rahe,
Lekin sath me toh koi bhi nhi.
In aankhon ne rok liya, aansu kai,
na palak ko bujhne diya,
na ansuon ko gir ne diya kabhi.
Is Dil ne Sambhala he Dard kai,
na dhadkano ko roka, na Dard ko toka.
Haan magar, kiya toh ek hi,
muskurake bola, is Dil me Dard hi nhi.
Na samajh ko ye samjh na aaya,
kaisi niyati he yhi.
wah khuda kya khel he tera,
fir bhi yakin is zindegi ki khuda kabhi
mashumo k sath khelta nhi.

© 2020 Pleasure_Believe in yourself


My Review

Would you like to review this Poem?
Login | Register




Share This
Email
Facebook
Twitter
Request Read Request
Add to Library My Library
Subscribe Subscribe


Stats

22 Views
Added on May 13, 2020
Last Updated on May 13, 2020