Kuch swaal mere dil kA Poem by JasmeenIt's a hindi poem.
Kaise peda hote hi dekh kr beti ko keh dete hai log praai?
Jbki duniya uske hone se hi hai banpayi. Kyun seemit hai sapne maa baap k, doctors aur engineers tk ? Aakhir harr kalah de skti hai insaan ko kamai. Sirf dekh kr kprde insaan k kese pta lga lete hai log ameer gareeb ka ? Kaprdon mein toh nhi jhalakti ameeri dilon♡ ki bnayi. Sabooton k aadhaar pr krdiye jatey hai faisley Kya humesha dikhate hai saboot sirf suchai? Dekh kr keechard mein kamal ko aur kaanton mein khiley gulab ko, Kyu krte hai log tareef sirf kamal aur gulaab ki? Kya sirf sundarta hi krti hai byaan achai? Jbki keechard aur kaanton ne hi unki sundarta hai bchaai. Kyu Hindu, Muslim , Sikh, Isai tk hi seemit hai humari dharam karam ki nazrein? Naam mein bhi de jatey hai insaano k mazhab dikhai. ~jasmeen. © 2018 Jasmeen |
Stats
76 Views
Added on February 21, 2018 Last Updated on February 21, 2018 |