MY NOSTALGIC LIFEA Poem by A Jainam MehtaThis is my very first poem written in Hindi language. I wrote this 2 years before. It is about some sorrowful incidents of my life written in a comic manner including some satires and messages on life
Is duniya me aakar muje kya mila he
Par na koi shikwa he na koi gila he Bachpan me jabhi kabhi manga khilona Padhai me 1st rank ka order mila he Gaadi mangta to cycle milti Paise mangta to kehte “teri kamzor he ginti” Zubaan ko pyara kuch fast food kya khata Daat aur davaiyo ka daur chala he Band karna padta fast food khana Log kehte “khichdi khane me hi tera bhala he” Baat baat pe maar khata Seh liya majburi he Milunga bada hoke sab ko aakar “tab mujse darna zaruri he” Is duniya me aakar muje kya mila he ? Par na koi shikwa he na koi gila he Train me dekha tha use pehli baar Kya batau jo dil ka haal hua he Raja ko rani aur andhe ko kani Mil jaye esa ehsaas hua he Maasum dil to bachha tha bichara Maan betha use bhi pyaar hua he Na me use keh paya, shayad wo bhi kehne se darti Dekha jab usne muskurake, hil gayi kadmo tale dharti Utar gayi station pe kaha na jane so gaya tha me, laga pachtane kya batau tab mere dard-e-dil ka dukh mangvali garam cutles lagi thi zor ki bhukh phir ek ladki train me bethi-dhadka phir jiya he takdir ne dil se kesa mazak kiya he Is duniya me aakar muje kya mila he ? Par na koi shikwa he na koi gila he Socha science lena meri bahduri thi Lekin tabse P-C-M ne mujpe hamla bola he Fail hona kesa lagta he pehli baar Bina jane log kehte “ye ladka to chalu-chila he” Samaj nahi aati thi trigonometry aur ohm’s law Ye sodium tetra oxide kaha se nikla he Phir to chod diya syllabus ko bhagwan bharose Khane laga dosto ke sath khaman-samose Jumte-haste-gaate dosto ka, roz lag jata mela he Achanak se aaya board ka result “bhawan teri kesi leela he” Is duniya me aakar muje kya mila he ? Par na koi shikwa he na koi gila he. Jigari dost gaye apne raste, rishte-naate todke, “ab to apne bhi chale jaate he muh mod ke” Mene bhi socha- faltu waqt kyu gawana Nahi hoti dosti, nahi hota yaarana. College me socha tha “apne kaam se kaam rakhunga” Log kehte the “iska screw dhila he” 1st Xam me 1st aya to kehne lage “bada talented nikla he” Ye duniya ka reewaz he dosto, Jo upar pohcha usi ko salaam mila he. Zameen pe bethe laachar ko koi nahi puchta, Ki waha sukha he ya gila he. Wo kaamyabi to sirf do pal ki thi, Wo picture nahi sirf trailer he. Dukh hi jivan ka satya he "Success" k pehle ata “failure" he Is duniya me aakar muje kya mila he ? Par na koi shikwa he na koi gila he. Chahkar na chute musibato se nata kabhi Chalta rehta problems ka sil-sila he Ek aur uljan ki baji ganti tabhi Suna professor ko bhi mera hi surname mila he Baat-baat pe dhamki deta ‘parents bulaunga’ Ek hath se taali bajakar ‘indirectly sataunga’ ‘Less attendance’ ke naam par din me tare dikhata Jese wo sher he- hum darpok billa he Na padhata office me betha rehta Jese wo shah-jahan aur college lal-quila he Is duniya me aakar muje kya mila he ? Par na koi shikwa he na koi gila he. Japan ko mitane wali bhukamp tsunami; Kalyug me to se sab purani kahani. Mere life me ese hadse hote jani; Ab to thak gaya bar-bar yad karke nani. Bina takleef ke na je sakega, Na koi kabhi jiya he. Sukun se do pal sone ko na milta Ye muje kesa jivan diya he. Sabke chehre pe ek nakli mukhota; Na koi munni na koi sheela he…! Is duniya me sabhi dhongi Chahe majnu he ya lela he India world cup-2011 jita Par usme apne ko kya mila he…! Apni to wahi Sali boring life Lagta he muje mere hi paapo ka faal mila he….! Is duniya me aakar muje kya mila he ? Par na koi shikwa he na koi gila he. Meri baato se demotivate mat hona yaaro Ye to sirf maan halka karne ka zariya he Hum kyu tension le- duniya rangeen he Gundo me fasi hui to razia he. -----JM ( Jainam Mehta) © 2012 A Jainam Mehta |
Stats
1674 Views
Added on June 24, 2012 Last Updated on June 24, 2012 AuthorA Jainam MehtaSurat, Gujarat, IndiaAboutBy proffesion I'm a Civil Engineer. Its my hobby to write poems on the genres like philosophy, emotional, comedy, satire with humour, current affairs, Self, etc. >I love to Laugh. >I Don't like pr.. more..Writing
|