Tera Khona Zaroori ThaA Poem by Ali G.Ek Azaad NazmTera Khona Zaroori tha, Mera Hona Zaroori tha Mere Hone, Na Hone ko, yehi hona zaroori tha, Tera khona zaroori tha… Wo Teri nok e muzgaan pe larazta, Dolta har dum Wo tera gham, wo mera ghum Ke uss dard-e- shanasaayee ka kum hona zaroori tha Tera khona zaroori tha Who ek jehd-e-musalsal Mere Maazi ki daldal Usi daldal mein dhansta aaj, kal aur aik ik pal To phir Nisyaan ka bhi kuchh to hal hona zaroori tha Tera Khona zaroori tha Chalo dekhain bichhar kar Jaron se yoon ukhar kar Saleeb-e-NaShanasaayee pe charh kar Magar kia khud se larr kar? Gar yehi hona zarrori tha Tera kona zarrori tha Mera Hona zaroori tha Mera Hona Zaroori tha, Magar kia hosaka main? Teri Yadon se larkar ek pal bhi sosaka main? Shanasaayee ke mailon mein hansa kia? Rosaka main? Tujhay khone chala tha, khud ko kho kar, kho saka main? To phir kaise kahoon ke jo hua, hona zaroori tha Mera Hona Zaroori, Haan! Mera Hona Zaroori tha
Magar Kia Iss tarha Se? Kia Tera Khona Zaroori tha? © 2016 Ali G. |
Stats
72 Views
Added on November 17, 2016 Last Updated on November 17, 2016 |