Aub aur bardaasht nhi hota (a poem in Hindi)A Poem by CA Anurag SharmaThis is a poem written in hindi about some of the horrific incidents that have happened
Sharmindagi hoti hai insaan hone par,
Jub unn cheekho ki awaaz ko nazarandaaz karna padta hai, Kya sha hoga ussne, kaise woh tadpi hogi, Unn hawaaino ne kaise usse nocha hoga, Kya sochti hongi unn hawaaino ki maaye, Aise aulaado se beaulaad hona zyada accha tha, Sirf ek jism nhi thi woh, aatma bhi thi usski, Kya usski karhaao par bi taras nhi aaya hoga unko? Kyu ek smaaj k roop main hum viffal ho chuke hain? Kyu aise cheekhe hum nazar andaaz karte hain? Aub waqt aa chuka hai ek badlaav ka, Inn dardingo ko sabak seekhaana hoga, Baato ka waqt beet chuka, aub kuch alag karke deekhaana hoga, Aub aur sehen nhi hongi woh lutt ti aabru, Aub aur nhi dekha jaayege unn darido ko, Shayad naari ko aub apna durga roop deekhaana hoga, Mardo ko bhi unn haiwaano ko milkar sabak seekhaana hoga, Badlaav sirf soch main hi nhi, karmo main bhi laana hoga, Inn dardindo ko aub sabak seekhaana hoga.
© 2015 CA Anurag SharmaAuthor's Note
Reviews
|
Stats
206 Views
4 Reviews Added on February 8, 2015 Last Updated on February 8, 2015 AuthorCA Anurag SharmaCHANDIGARH, CHANDIGARH, IndiaAboutChartered Accountant, MBA (Finance) from Chandigarh (India). Have written two books (fiction), "Mirage in the mountains" and "Mourning Before Sunrise" My twitter handle is "https://twitter.com/ca.. more..Writing
|