Zamane se hum nahiA Poem by Happy hoursKya hum hai ki zamane se hum nahi
kya hum hai ki zamane se hum nahi
gar fasana naya hai toh purane se hum nahi har muamle se mukhatib hai janaab sirf jaane pehchaane se hum nahi kya hum hai ki zamane se hum nahi ishq ko adhoora chod chale hai, na kehna tere kisi bahane se hum nahi is baat pe dil aaj bhi virana hai ban gye sab bas tere taane se hum nahi kya hum hai ki zamaane se hum nahi malaal bahut hua us shab jab malum pada jo labo pe hai tere us gaane se hum nahi chale jaenge rukh mod ke kisi door sheher jitna bhi tu bulale, wapas aane se hum nahi kya hum hai ki zamane se hum nahi chal bekhauf kar chalu tujhe me aaj is ilzaam se tere bewafai ke kisse sunane se hum nahi tere dil ko na bha sake, tujhe apna na bana sake filhal toh ye samjh ki tere taraane se hum nahi kya hai hum ki zamaane se hum nahi © 2017 Happy hoursAuthor's Note
Reviews
|
Stats
293 Views
4 Reviews Added on January 5, 2017 Last Updated on January 5, 2017 AuthorHappy hoursLucknow, Uttar Pradesh, IndiaAboutLife is beautiful when 24 hours of a day are happy hours Kindly stop by as i need your reviews and comments Apart from that I love nature and its miracle. I'm passionate for writing, Because whe.. more..Writing
|