Zindagi Talashte TalashteA Poem by Happy hoursThe journey overall. A hindi poem
Zindagi talashte talashte
zindagi talashte talashte kuch chehre mile, strange se the, bedhange bhi aur dhang me ghule hue bhi Mene muskaan ke sath sabhi ko gale lagaya... kisi ne palat kar smile bhi ki toh kisi ne tedha mu bhi banaya Zindagi talashte talashte jo khubsurat roohe thi woh family aur friends ke naam se meri duniya ban gayi kuch pareshan se bhi chehre the jinhe me muaf karke piche chorh chala aaya Zindagi talashte talashte hua kuch yun ki ab maza aata hai jab sochta hu us sehme hue, gire hue, thokar khae hu "me" ko... Jahd karte karte kuch seekha aur kuch sikhaya logo ko Aaj kal philosophy karne lag gaya hu, jaise ki dimaag labalab bhara ho gyaan ka samundar mere hi andar ho sabka saahil me hi hu jaise sabka dariya me hi hu Zindagi talashte talashte precious moments samajh me aa gaye ki darasal woh kaun se the.. ek yaado ka sandooq banaya aur tamaam khushiyo se bhare pal usme qaid kar liye zindagi talashte talashte.... ek anhad khubsurat si priorities ki list bana li jo dil ko bhaya use list me upar rakh liya Zindagi talashte talashte majbooriyo ke sath bahut pyaar kiya woh kya kehte hai, the toh bahut 'rude' lekin the toh apne hi ginger wali chai ki chuski lete jab kaam kar rahe hote khud ka mazak uda lete jab mushkilo me hum rehte zindagi talashte talashte humne 'fear of death' ko overcome kar liya fir jo chatpate se din bite un ka luft aaj bhi labo me zinda hai jo kuch chote mote jhakhm the unhe ignore kiya, kureta hi nahi itne dhundhle ho gaye hai ab ki skin me hardly nazar aate hai zindagi talashte talashte hum itna door nikal aaye ki mere apne mujhe ab tak phone pe call karte hai facebook ki post par mehez tag nahi karte ab me fb pe friend request accept nahi karta, logo se rubaroo hota hu, hath milata hu, gale milta hu zindagi talashte talashte ye samajh aaya ki jo kehte the "koi nahi kal" milenge aaj hissa ban gaye hai mere "chro ni cles" ka logo ka aana meri circle of agreement me hai lekin logo ka jana meri range of power ke bahar aur unhi logo ka rehna humari mutual understanding ka khel hai zindagi talashte talashte zindagi akhir mil hi gayi kuch sehsa lamho me... © 2017 Happy hoursAuthor's Note
|
Stats
266 Views
Added on January 5, 2017 Last Updated on January 5, 2017 AuthorHappy hoursLucknow, Uttar Pradesh, IndiaAboutLife is beautiful when 24 hours of a day are happy hours Kindly stop by as i need your reviews and comments Apart from that I love nature and its miracle. I'm passionate for writing, Because whe.. more..Writing
|