Kya hai Nazm?A Poem by Happy hoursA hindi poem on the meaning/importance of Nazm for me.
Puche jo mujhse kabhi koi kya hai nazm
Behti hui nadi ki raftaar hai nazm Dil ke tukdo se taar taar hai nazm Ek shayar ka pyaar hai nazm Ankaha sa darz hua andaaz hai nazm Meelo door dard jhaak le aisa baaz hai nazm Malhar sa chehekta hua saaz hai nazm Kisi ki zubaan toh kisi ki awaaz hai nazm Zindagi ka woh sahara hai nazm Na hokar bhi jo humara hai, nazm Galiyo se guzarta woh awara hai nazm Thoda meetha sa thoda khara hai nazm Os me mili hui hawa hai nazm Dard-e-dil ki dawa hai nazm Kabhi purana sa kabhi naya sa Zarre zarre me rawa hai nazm Pyaar ka rumani geet hai nazm Aashiq ki jung me jeet hai nazm Har rang me ghuli hai nazm Har tarah ke paani se dhuli hai nazm Puche jo mujhse kabhi koi kya hai nazm © 2016 Happy hours |
Stats
170 Views
Added on December 13, 2016 Last Updated on December 13, 2016 AuthorHappy hoursLucknow, Uttar Pradesh, IndiaAboutLife is beautiful when 24 hours of a day are happy hours Kindly stop by as i need your reviews and comments Apart from that I love nature and its miracle. I'm passionate for writing, Because whe.. more..Writing
|