Jaane kiski talaash meA Poem by Happy hoursYou have all the rights to move on and be the part of happiness and joy
Jaane kiski talaash me
Zindagi guzar rahe ho Jaane kiski yaado ko Palko pe sawaar rahe ho Jaane woh kaun sa pal hai Yunhi kabhi muskurate ho tum Rote rote hass dete ho Kamaal kar jaate ho tum Jaane kiska tumko rehta intezaar hai Na jaane kaha tmara ghar baar hai Manzil ke pass khade ho tum Kyu zidd pe ade ho tum Kyu chup se ho, aage badho Zindagi ka safar hai, chale chalo Jaane woh kaisa humsafar Jo safar me tere sath nahi Tanha ho aur thak chuke ho Na ho aisi saugaat kabhi Jaane kab khusiya lautengi Tm raah taak mat chup baitho Tm udo jis tarah udti thi Tm badho jis tarah badhti thi Jaane woh kaisa nadaan hua Raste me kyu anjaan hua Tm eklavya ho mat bhoolo Kaise woh tumhari jaan hua Woh roshni ki jhalkiya Us(manzil) paar tmhe takti jaati Ye kaisa honsla,umeed hai kaisi Baat baat pe thak jaati Jaane woh jo bhi hoga, tum Ek baar use toh dikhla do Dil toote bhi toh dariya paar Toofano ko sikhla do Aaine me dekh ke jo Khushi mili toh samajh jaana Tum zindagi apni sawaar rahe ho Fir bhi Jaane kiski talaash me Zindagi apni guzaar rahe ho © 2016 Happy hoursAuthor's Note
Reviews
|
Stats
272 Views
5 Reviews Added on April 6, 2016 Last Updated on April 6, 2016 AuthorHappy hoursLucknow, Uttar Pradesh, IndiaAboutLife is beautiful when 24 hours of a day are happy hours Kindly stop by as i need your reviews and comments Apart from that I love nature and its miracle. I'm passionate for writing, Because whe.. more..Writing
|