Kuch raabtaA Poem by Happy hours"There is a Great Value in Disaster, Because We can start all over again" ~ sir edison
Kuch rabta zarur hai tanhai ka mohhabat ke sath
akeli raat me jo ankhe bhar aati hai tumhari Itefaq toh nahi, kuch wajah toh hogi Ki yunhi taaro ko taak rahe ho, aashiq ho ya sarfire Koi shikayat kar rahe ho tum badlo se shayad Kisi ki ruswai ka gam hai shayad tumhe Itni raat me jaha aksar sapno ki mehfile saja karti thi Waha tum, yaado ke mele me kho se gaye ho Kya koi jhakhm mila hai tumhe, koi dard hai jo phaas ban ke reh gaya hai Jaha aise aalam me(raat ke) aankhe band karte hai log Na jaane kya tum apni kalam se kagaz ko awaaz de rahe ho Zindagi ki shikayato ko baya nahi kiya jaata hai, aisa suna tha mene Lekin ek tum ho jo, likhte hi ja rahe ho Kya likh rahe ho yahi ki , tumhare hisse me muddato tak khusiya nahi aayi Ya tumne dekhi nahi, jo guzar gayi tumhe ishaara karke Kya likh rahe ho yahi ki, zindagi tumse kuch wafa na kar saki Ya tumne samjha nahi, jo seekh woh tumhe de gayi Apne falsafe ko kaagaz me likh kar faad dete ho Dil se dard aise kabhi khatam nahi hota Jo ghar hai tumhare dil ka woh bhara hua hai raakh se Khusiya aaye bhi toh rehne ki jagah kaise doge tum Sard hawa me bhi tum bina alaav ke baithe ho, shayad Kuch raabta zarur hai tanhai ka mohabbat ke sath © 2016 Happy hoursAuthor's Note
Reviews
|
Stats
115 Views
3 Reviews Added on March 21, 2016 Last Updated on March 21, 2016 AuthorHappy hoursLucknow, Uttar Pradesh, IndiaAboutLife is beautiful when 24 hours of a day are happy hours Kindly stop by as i need your reviews and comments Apart from that I love nature and its miracle. I'm passionate for writing, Because whe.. more..Writing
|