Raam aa gayaA Poem by Happy hoursHonest dedication to every soldier
Saare sheher me kohraam aa gaya
Jaane kaha se dekho raam aa gaya Sardiya abhi baaki thi, angoor pakne baaki the Bin mausam ke dekho aam aa gaya Sab feeke pad gaye, ye darinde bhi kaap gaye Inke ant ka jo paigaam aa gaya Saare sheher me kohraam aa gaya Jaane kaha se dekho raam aa gaya Ye jo woh qatal kiye firte the dopahar me Unki zindagi ka shaam aa gaya Jo gardane kaati, jo laashe bichayi tumne Yeh dekho iska anjaam aa gaya Saare sheher me kohraam aa gaya Jaane kaha se dekho raam aa gaya Kitni maa soyi nahi hai parso se,aanchal se apne bacche ko ode Un bholi si ankho ko aaraam aa gaya Saare sheher me kohraam aa gaya Jaane kaha se dekho raam aa gaya Ae paap ke bhageedaro, chupte kyu ho, samne aao khuda ke jaisa woh,karne kaam tamaam aa gaya Saare sheher me kohraam aa gaya Jaane kaha se dekho raam aa gaya Jiske hath me bandhi hai raakhi laakho behno ki Veer aisa dekho, sareaam aa gaya Jiske maath me, maa ki mamta ka tilak hai Samjho Tumhari maut ka intezaam aa gaya Saare sheher me kohraam aa gaya Jaane kaha se dekho raam aa gaya © 2016 Happy hoursAuthor's Note
Reviews
|
Stats
143 Views
4 Reviews Added on March 21, 2016 Last Updated on March 21, 2016 AuthorHappy hoursLucknow, Uttar Pradesh, IndiaAboutLife is beautiful when 24 hours of a day are happy hours Kindly stop by as i need your reviews and comments Apart from that I love nature and its miracle. I'm passionate for writing, Because whe.. more..Writing
|