Hindi Recitation ^^ Happy Republic DayA Poem by Happy hoursAbout heritageek sawaal hai mann me mere, ya kuch bikhre se khyaal hai jiska jawaab dabb chuka hai kitaabo me kuch aise anokhe mere sawaal hai...
us imaarat ki diwaaro ko padh ke dekha, toh maloom hua kitno ke dil behaal hai
pedo se jakde dhaage,inaayate jisme laakho hai jab dekha toh pata chala kiske kaise haal hai
jab dekhi loot taj mahal ke bahar, ya char minar ki galiyo me ehsaas hua insaniyat me kitne kangaal hai
India gate par naujawano ka sailaab dekha aur jhoom utha dil ek Josh me,ek umeed me jab dekha nashe se dhut raheszada waah re duniya,kamaal hai
Facebook ki Wall pe yun toh zalzala tha selfie ka aur piche thi buniyaad khoti hui haseen imarate nayi soch hai sahab, ek naya hi saal hai
ae dost, kaha se de paoge taleem tum apne bacho ko itihaas ki minar,kile,gumbado ka ehsaas jante ho koi Jung thi,kahi Josh tha haaye ye kaisa janjaal hai
lo,ek aur aa gaya,maatha tekne bharat ki goddh me, sone ki chidiya ko shayad qaid kar camere me le jaega aur dil se kahega "atulya bharat" aisa ehsaas de jaega bade hi adbhut iske khyaal hai
Lekin kahi aisa na ho jae, niraash woh dekhe khude hue pyaar ki pyaas ko jaise jhakhm mila ho budhi imarat ko, aur darj na kar pae apni diary me bharat ke itihaas ko kuch aise smarak ke haal hai
padhaya gaya tha jab usko,bharat me pratha bahut si hai kai tarah ki bhasha, aur kai tarah ki Sanskriti paega aakar tumko woh,bilkul apne jaisa hi kyu yahapar log badalte apni chaal hai
© 2015 Happy hoursReviews
|
Stats
268 Views
5 Reviews Added on January 25, 2015 Last Updated on January 25, 2015 AuthorHappy hoursLucknow, Uttar Pradesh, IndiaAboutLife is beautiful when 24 hours of a day are happy hours Kindly stop by as i need your reviews and comments Apart from that I love nature and its miracle. I'm passionate for writing, Because whe.. more..Writing
|