Rosh- Hindi PlayA Stage Play by Happy hoursThis was the play written by me during my college time. Please read it.A play for a social cause, we are going to present
a skit based on anti-ragging. Scene1: Sneha(J)
: Suniye!! Kya aap mujhe bata sakte
hai ki Hostel ki fee kaha jama hoti hain?
Rohit(s)
: Ji maaf kijiyega mujhe koi
andaaza nahi, me hostel me nahi rehta aap ek kaam kijiye who jo log baithe hai…
waha un se pooch lijiye Sneha(j): thankx Rohit(s):
its ok (sneha thodi door baithe kuch aur seniors se puchne
jaati hai) Sneha(j): Excuse me!!hostel ki fee kaha jama hoti
hai,kya aap bata sakte hain?? Ajay(S):
Haan Haan kyu nahi zarur bata sakte hai Neha(s): (Ajay
se) kaash yaar aise question semester exam me aate Ajay(S): first
year hai?? Sneha(j): han
Ajay(s): kon
si branch Sneha(j): I.T Umesh(s): kon
aai thi(mazak me) Sneha(j):
I mean information technology,ab
please mujhe aap bata rahe hai ki fee kaha jama hoti hai? Ajay(s):
are madam ji aise bhi kya jaldi
hai ab toh aap ko chaar saal tak yahi rehna hain, pehle aap apna introduction
dijiye Sneha(J): mere
pass aur kaam bhi hai, me kisi aur se puch lungi? Neha(s): hum
tumhare seniors hai, seedhe seedhe apna intro do Sneha(J): mere hissab se is campus me “ragging” allowed nahi hain , me
apki complaint kar dungi…aap sabki Umesh(s): ragging
nahi intro madam introduction I said..!!! Sneha(j): me
dusro ki tarah nahi hu jo aap ki baato me aa jau Ajay(s): thoda
tameez se baat karo tumhare senior’s hain hum Sneha(s): Aap logo me kitni tameez hain mene dekh
lia..(sneha chali jaati hai) Ajay(S): are
hello suno (sneha ko rokta hain) Neha(s): Are chor use baad me dekh lenge, aakad
toh dekho iski…..iske nakhre toh bade high hai (College XYZ day) Umesh(s): Ajay
woh dekh miss attitude aa rahi hai Ajay(s): hey
u, idhar aana Sneha(j): kya
hai?? Umesh(s): time
kya ho raha hai?? Sneha(j): its
9:00 am Umesh(s): toh
tumhe itni bhi tameez nahi ki wish karo Sneha(j): wish
aur aap jaise seniors ko my foot Umesh(s): (Ajay se) lo be aaj fir izzat ka faluda
bana gayi, Chal yaar canteen chalte hain kuch khila de bhuk lagi hai Ajay(s): abhi
faluda bana ke gayi toh hai,kha le use Scene3 Rohit: Hey
hi, Tumhe us din mil gaya tha na fee counter Sneha(j): yes
sir mil gaya tha Rohit(s): Aur
kabhi bhi koi problem ho toh bata dena ok Sneha(j):
sir agar mechanics ke notes n books mil jaati
toh acha rehta Rohit(s): ok
me arrange kar dunga. Karan ek minute bhai aana zara Karan(s): haan
rohit btao kya hua? Rohit(s): yaar
tere pass mechanics ki books n notes honge? Karan(s): haan
hai mere pass….aur notes bhi rakhe hai Rohit(s): ye sneha hai, first year hain iska tum
isko de dena as soon as possible Karan(s):
ok, sneha fikar na karo me tumhe
notes and books dono de dunga, aur kabhi
bhi kisi cheez ki zarurat ho bta dena Rohit(s): haan sneha tum ise bata dena ye
college topper hain Sneha(s): thanx sir Sneha(j): ek aap hai aur ek who log the idiots Rohit(s): kyu
kya ho gaya kisi ne kuch kaha tumse? Sneha(s): Haan who usi din mile the mene help
maangi unse toh kehne lage intro do apna, mene toh saaf mana kar diya Rohit(s): yaar who tumhare seniors hai,
introduction ke liye toh bola tha de dena chahiye tha, kyunki yaar agar tum
seniors ke saath sahi se pesh aaogi who tumhari madad karenge humesha. Sneha(j): Sir,mujhe
ye sab acha nahi lagta ki koi mujhse zabardasti kare Rohit(s): koi
baat nahi tumhari life hai..chalo all the best for ur future Sneha(j): thank
you sir bye. Scene 4: (Hostel night) Neha(s): Are
aap yaha rehti hai, chaliye aap se milne ka bahut man tha Sneha(j): toh
mil liya na ab jaiye mujhe padne dijiye Neha(s): aise
kaise parhne de, ragging toh deni padegi Sneha(j): Lagta
hain mujhe aapki shikayat warden se karni padegi Pooja(s):
how dare you? Tum apne aap ko
samajhti kya ho? Tum seniors se aise baat nahi karogi warna tumhare sath acha
nahi hoga Sneha(j): kisse
kis tarah baat ki jaati hain mujhe ache se pata hain warden: Yaha kya ho raha hai, Chalo sab log
apne room me jao, Ab shor kiya na toh kher nahi Neha(s): tumko
toh me dekh lungi Sneha(j): haan
theek hai dekh lena Scene(4) Neha(s): Ajay bas bahut ho gaya ab us ladki ka
kuch karna hoga Ajay(s): kya
hua kuch kaha kya usne? Neha(s): kal
raat mere se behas kar rahi thi who, Uski ye himmat…!!! Umesh(s): Yaar
mere ko toh sab chidate hai ki ek junior ne bezzatti kar di Ajay(s): Aao
aaj toh uski jam ke class lenge (canteen me) Sneha: bhaiya
ek coffee dena Boy: 10rs
hue… Umesh(s):
are bhaiya pagal ho gaye ho kya
Jhansi ki rani coffee maang rahi hai,paise mat le lena nahi toh paap chad jaega Sneha(j): tameez
se baat karo Ajay(j):
Are madam ji yahi baat toh hum
apko itne din se samjha rhe hain.. Sneha(s): (jaane
lagti hain….) Neha(s): Aaj
toh ragging tumhe deni hi padegi Sneha(j):
lagta hai mujhe bhi aap sabki ki
shikayat management se karni padegi Ajay(s): haan
toh kar lena lekin pehle ragging do Sneha(j): aap
log yaha padhne aate ho ya awaragardi karne ajay(s):
(sneha ki coffee uske hath se
gira deta hain, aur sneha gusse me ajay ko maar deti hai) Sneha(s):
ye mat sochna ki me choti hu aur
mene tumhe maar diya me tumhare hi age ki hu,thoda late admission hua mera, aur
agay se aise batmeezi karne se pehle soch lena (sneha chali jaati hain) Neha(s): ajay
usne tumhe mara aur tumne kuch nahi bola Boy: kyu
bhaiya ye kya ho gaya Jhansi ki rani ne toh talwar hi chala di (ajay gusse se canteen wale ko dekhta hai…aur
canteen me sab ajay pe haste hain) Ajay(s): neha
ek kaam karna (ajay uske kaan me kuch samjhata hain) Neha(s): haan ye sahi rahega ok umesh(s): par
hum andar aenge kaise? Neha(s):
uska intzam me kr dungi… Karan(s): tum
log kyu us bechari ki ragging lene pe lage hue ho Neha(s): pehle toh humne introduction hi manga
tha ab toh ragging leni padegi Karan(s): yaar jaane do bhool jao sab Ajay(s): Abe oye kitabi keede chal nikal yaha
se jyada mat samjha Scene(5) (sneha apne room me aati hai aur seniors bahar se
darwaza band kar dete hai) Neha(s): shhh… awaaz na kro, koi dekh lega.. Sneha:
(Apna blanket uthati hai toh
use ek nakli kata hua haath milta hai) somebody help, please koi darwazza
kholo, koi darwaza kholo , help, help help, somebody help (seniors light off kar dete hai) (2-3 ghante tak sneha chillati rehti hai) Umesh(s): ye
rohit kaha se aa gaya yaar isne kise bata diya Ajay(s): zarur
us kitaabi keede ne btaya hoga rohit(s): ye
tum log kya kar rahe ho darwaza kholo please umesh(s): tu beech me na aa,chale ja yaha se Rohit(s): darwaza
kholo samjhe,who itna chilla rahi hai Umesh(s): toh
kya tumhari chachi lagti hai kya Rohit(s): tum
logo se toh baat hi karna bekaar hain (rohit khidki ke raaste andar jaane ki koshish
karta hain) (sneha ek dum se chillana band kar deti hain aur
tab rohit khidki se andar pahucta hai aur ye dekh ke hairan reh jata hain ki
sneha dar se pagal ho chuki hain) Ajay(s): abe
kahi behosh toh nahi ho gayi, chal ab darwaza khol de Umesh: ok
Neha(s): oh
my god ye ise kya hua Ajay(s): Ye
humne kya kar diya ise kya ho gaya ye Rohit(s):
Ye pagal ho gayi hai aur who bhi
tum logo ki is ghatiya harkat se, tum logo ne uski zindagi barbaad kardi,
bhagwaan tumhe kabhi maaf nahi karega Umesh(s): ye
police kaha se aa gayi Rohit(s): police
ko mene bulaya hai Rohit(s):
Sir, ye in sab logo ki kartut hai
inhe jail me daal dijiye aur kadi se kadi saja dijiye Rohit(s):
Kya kabhi aap sab ne socha ek…ek
chota sa mazak kisi ke sapne, kisi ki khusiya ujaad sakta hai, Aisa karne se
haath bhi kya laga in logo ko sirf hathkadiya, aakhir kab tak ye chalta rahega,
kyu hum kisi aur ki zindagi me dakhal dete hai, College me vidya milti hain toh
fir sabka maksad padhai kyu nahi hota, Aisa jurm karke aapko toh thodi der ke
liye maza aa jaega lekin un ke bare me sochiye jo apni manzil ko poora karne ke
liye yaha aate hain aur kadi mehnat karte hai, sabhi log abhi pratigya lijiye
ki is jurm ke bhagidaar kabhi nahi banege aur dusro ki madad ke liye humseha
tatparya rahenge © 2014 Happy hoursReviews
|
Stats
449 Views
2 Reviews Added on July 4, 2014 Last Updated on July 4, 2014 AuthorHappy hoursLucknow, Uttar Pradesh, IndiaAboutLife is beautiful when 24 hours of a day are happy hours Kindly stop by as i need your reviews and comments Apart from that I love nature and its miracle. I'm passionate for writing, Because whe.. more..Writing
|