Aksar...Hindi poemA Poem by Happy hoursMere man me ye baat aksar ghar kar
jaati hai Yaado se jhatjhod ye dil aur ankhe
bhar jaati hai Ki kabhi toh dil ne uspe baazi
lagayi thi Kabhi toh usne is dil me umeed
jagayi thi Kabhi kisi pal zindagi meri sawar
jaati hai Mere man me ye baat aksar ghar kar
jaati hai
Mene laakh samjhaane ki koshish ki
na jao door mujhse Ho sake toh na karo meri khushi ko
majboor mujhse Fir bhi tum chale gaye socha bhi na
haalaat ko Ek baar bhi ulfat na uthai ek akhiri
mulakaat ko Ab toh meri rooh mujhse hi dar jaati
hai Mere man me ye baat aksar ghar kar
jaati hai
Koi gila nahi saase chalengi ab tere
bina Muskura kar hi na sahi, par zindagi
chalegi ab tere bina Par tu kabhi palat kar dekhna mat
mujhe Me awaaz bhi du toh mujhe mehsoos
mat karna Tere aks ki khusboo aaj bhi asar kar
jaati hai Mere man me ye baat aksar ghar kar
jaati hai © 2014 Happy hours |
Stats
314 Views
3 Reviews Added on June 5, 2014 Last Updated on June 5, 2014 AuthorHappy hoursLucknow, Uttar Pradesh, IndiaAboutLife is beautiful when 24 hours of a day are happy hours Kindly stop by as i need your reviews and comments Apart from that I love nature and its miracle. I'm passionate for writing, Because whe.. more..Writing
|