![]() mera gaoA Poem by Alfi![]() village love![]() Mujhse mere gao ki galiya anjaan hai Me wo titli hu jisse kaliya anjaan hai... Raaste rahnuma hai gair apne hai Yaha chote logo ke bade bade sapne hain, Vese to barishon mein koi kisi ka nahi Koi suraj chamke to sab saath tapne hain, Ye vaadi e sabz sarzameen e baari Ye hamari basti hai isme basti hamari jaan hai... Garibi amiri yaha aapas mein saheli hai Jeb mein pesa nahi phir bhi koi inke jesa nahi, Hamari wafa ka kayal hai zamana Hamara mayaar bhi koi aisa vesa nahi, Hami iski rounaq e bahaar hain Ye hamari zameen hai hami iska aasmaan hain... Alfi © 2023 Alfi |
Stats
53 Views
Shelved in 1 Library
Added on October 8, 2023Last Updated on October 8, 2023 Tags: soul love Author![]() AlfiBari, Muslim, IndiaAboutMeri ibteda alif hai mera andaz alfi zara mukhtalif hai more..Writing
|