Himachal Pradesh: DevbhoomiA Poem by Amit DhimanDescription for all pilgrimages situated in Himachal Pradesh...
Divya Zameen hai divya aasmaan
Himachal Pradesh hai devbhoomi mahaan Himachal Pradesh hai meri shaan Aao chalein hum Una wali devi ke dhaam Jahan divya hai din or divya hai shaam Yahan Mata Sati ke Charanon ka hai bakhaan Aao bhakton hum Devi Chintpurni ka karein dhyaan Aao chalein hum Bilaspur wali devi ke dhaam Jahan banenge bhakton, sabhi bigde kaam Yahan Mata Sati ke Nainon ka hai bakhaan Aao bhakton hum Naina Devi ka karein dhyaan Aao chalein hum Kangra wali devi ke dhaam Jahan pe bhakton ka uncha hota hai naam Yahan Mata Sati ke Vakshon ka hai bakhaan Aao bhakton hum Brajeshwari Devi ka karein dhyaan Aao badhein hum Kangra ke hi ik dhaam Jahan prachlit hai Dhyanu Bhakt ka naam Yahan Mata ki Jyotiyon ka hai bakhaan Aao bhakton hum Jwalaji ka karein dhyaan Aao badhein hum Kangra ke ik aur dhaam Jahan Mata ne Chand-Mund pahunchaye yam-dhaam Yahan Mata ke Rudra-roop ka hai bakhaan Aao bhakton hum Chamunda Devi ka karein dhyaan Divya Zameen hai divya aasmaan Himachal Pradesh hai devbhoomi mahaan Himachal Pradesh hai meri shaan © 2017 Amit Dhiman |
Stats
146 Views
Added on March 7, 2017 Last Updated on March 7, 2017 Tags: Mother land, Divya bhoomi, Devbhoomi AuthorAmit DhimanChandigarh, Punjab, IndiaAboutParamedical student and I love to write poetry. Writing poetry is my passion..... more..Writing
|