![]() DivyaangA Poem by Amit Dhiman![]() A description to the disables, but thanks to the God to create them as like as disables because of that conditions they're far from world of crime, theft, conspiracies etc...![]()
Jo 'aankhon' se hai 'divyaang'
Log unhein 'andha' kehte hain Shukra hai bhagwaan ka Paap ki duniya nhi dekh skte hain Jo 'pairon' se hai 'divyaang' Log unhein 'langda' kehte hain Shukra hai bhagwaan ka Paison ke peeche nhi daud skte hain Jo 'kaanon' se hai 'divyaang' Log unhein 'behra' kehte hain Shukra hai bhagwaan ka Apshabd or ninda nhi sun skte hain Jo 'zubaan' se hai 'divyaang' Log unhein 'goonga' kehte hain Shukra hai bhagwaan ka Mithya nhi keh skte hain Jo 'dimaag' se hai 'divyaang' Log unhein 'pagal' kehte hain Shukra hai bhagwaan ka Kisi paap ka hissa nhi ho skte hain © 2017 Amit Dhiman |
Stats
154 Views
1 Review Added on February 21, 2017 Last Updated on February 21, 2017 Author![]() Amit DhimanChandigarh, Punjab, IndiaAboutParamedical student and I love to write poetry. Writing poetry is my passion..... more..Writing
|