Aaj banaam kal: Today v/s tomorrowA Poem by Amit DhimanThis is a silent fight between today and tomorrow... Let it be...
Aaj kahe kal se,
Tu aaya kahan se? Kal ne kaha aaj se, Mujhse tu or tujhse main, Yeh pare hai teri samajh se. Aaj kahe kal se, Kyon darte hain log tujhse? Kal ne kaha aaj se, Samaya hai kyonki bhoot mujhmein, Yeh pare hai teri samajh se. Kal kahe aaj se, Tujh par kyon phool barse? Aaj ne kaha kal se, Samaya hai kyonki pyaar mujhmein, Yeh pare hai teri samajh se. Kal kahe aaj se, Safalta kyon hai tujhse? Aaj ne kaha kal se, Jeet ka hai kyonki taaj mujhmein, Yeh pare hai sabki samajh se © 2017 Amit Dhiman |
StatsAuthorAmit DhimanChandigarh, Punjab, IndiaAboutParamedical student and I love to write poetry. Writing poetry is my passion..... more..Writing
|