Kabhi Kabhi Mere Dil Mein Khayal Aata Hai: Meri VyathaA Poem by Amit DhimanThis is what I'm thinking!!!!
Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai,
Fir jaane mujhe kya ho jata hai? 'Gyaan', agar zindagi ka aadhar hai, Toh kyun insaan neev hilata hai? 'Maa', agar zindagi ki raah hai, Toh kyun insaan dagmaga jata hai? 'Pita', agar zindagi ke margdarshak hain, Toh kyun insaan bhatak jata hai? 'Guru', agar zindagi mein marg-sangi hain, Toh kyun insaan bhool jata hai? Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai, Fir jaane mujhe kya ho jata hai? 'Vishwas', agar zindagi ki dor hai, Toh kyun insaan dhokha khata hai? 'Rishte', agar zindagi ke dhaage hain, Toh kyun insaan deewar ban jata hai? 'Prem', agar zindagi ka saar hai, Toh kyun insaan bairi ho jata hai? 'Vartamaan', agar zindagi ka mool hai, Toh kyun insaan bhavishya banata hai? Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai, Fir jaane mujhe kya ho jata hai? 'Dhan' agar zindagi mein manu-mail hai, Toh kyun insaan jhukta jata hai? 'Moh', agar zindagi mein maaya hai, Toh kyun insaan andha ho jata hai? 'Krodh', agar zindagi mein jwala hai, Toh kyun insaan, insaan ko jalata hai? 'Lobh', agar zindagi mein kadvaahat hai, Toh kyun insaan zehar peeta jata hai? Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai, Fir jaane mujhe kya ho jata hai? 'Tyaag', agar zindagi ki mithaas hai, Toh kyun insaan nahi kar pata hai? 'Daan', agar zindagi ki bhalai hai, Toh kyun insaan ahenkaari ho jata hai? 'Izzat', agar zindagi ki kamai hai, Toh kyun insaan ise ganva deta hai? 'Maut', agar zindagi ki sachchai hai, Toh kyun insaan jeeta chala jata hai? © 2016 Amit DhimanReviews
|
Stats
181 Views
3 Reviews Added on October 23, 2016 Last Updated on October 23, 2016 Tags: Imagination, Thinking power, Reality AuthorAmit DhimanChandigarh, Punjab, IndiaAboutParamedical student and I love to write poetry. Writing poetry is my passion..... more..Writing
|